LG 11 KG TOP LOAD WASHING MACHINE BIG SIZE DRUM



Doston Koi bhi Washing machine ka kam hota hai kapde dhona, lekin kapde dhone ke sath sath hame aur bahot si chijen dhyan me rakhna hota hai, 

jaise ki machine aisa hona chahiye jo ki wash quality better hone ke sath sath washing machine ki durability bhi honi chahye . 

Sath hi Aisa washing machine Hona chahie jo  electricity consumption bhi Kam Kare. 

Aise bahut Sare point hai jo Hamen dekhna chahiye . 


Aaiye is washing machine ke bare mein Jante Hain. 

is washing machine ke sabhi features ke bare mein aapko pata chal jayega aur yadi aap is machine ke bare mein Jaan Jayenge to aapko bhi yah machine kharidne ka man Karega. 

To Chaliye sabse pahle Jante Hain Ki yah machine kaun si hai model number kya hai, kaun se brand ka hai, kya capacity hai, aur kya kya features hai.


doston yah Jo machine Hai yah LG ka 11 Kg Ka fully automatic top load washing machine hai doston is machine ki khasiyat yah hai Ki aap is machine mein bade se bade heavy se heavy kapde wash kar sakte hain jaise ki bedsheet, cotton clothes, Bade size ke towel, jeans Is Tarah Ke kapdon ko wash karne ke liye yah machine sabse best hai Kyunki iski capacity 11 kg Hai. 


is machine ke outer body ka jo dimension hai wo 7 ya 8 kg Ke Jo washing machine ka dimension hai Utna hi Hai Lekin Andar Ka drum size kafi bada hai. Yani outer dimension kam hai aur inner dimension Jyada andar Jyada space hone ki vajah se aap Jyada Se Jyada kapda Iske andar Dal sakte hain aur wash kar sakte hain iski Jo dimension hai 22 inches Width, 23 inches depth, aur 41 inches ka hight hai yahi hight 7 to 8 kg washing machine ka hota hai. 


doston yah machine aapke kapde ko steam ke through wash kar sakta hai Kyunki is machine ke andar inbuilt heater Diya Hua Hai jo ki normal Jo Pani aayega usey garm kar dega jisse steam generate Hota Hai aur steam aapke kapdon ke andar jata hai aur jo bhi heavy stain ya Mail ya gandagi Hote Hain use nikaalne ka kam karta hai, Sath hi steam ki vajah se aapke kapde ko Germ free wash bhi Milta Hai. 

yah washing machine
11 kg kapde yani ki 20 se 25 kapde Ek Bar Mein dho sakta hai.
yah 8 se 10 Logon ki family ke liye sufficient hai yah machine five star rating Ke Sath Hai.
 Sath hi iska motor AI DD motor hai yani ki AI direct drive inverter motor hai yah motor without belt Rotat Hota Hai jo ki drum Ke Niche directly fix kar diya gaya hai. vibrations level bahut hi kam Hota Hai, friction bhi kam Hota Hai, electricity consumption Less Hota Hai, machine ko stable Rakhta hai, kapdo ko easily Ghuma sakta hai jisse Betterr Wash ke साथ-साथ aapke kapdon ke fabric ka care bhi Hota Hai jaise ki koi delicate cloth hai to yah AIDD motor automatically speed or motion ko smooth kar deta hai jisse aapke delicate aur soft fabric damage Nahin Hota Hai. Doston yah machine Turbo Drum Technology jo ki LG ke sabhi washing machine Mein Aate Hain ke through kam karta hai jismein kya hota hai Jab Bhi machine start Hota Hai to pulsator clock wise and drum anti clockwise move karta hai yani ghumta hai jisse hand wash Ki Tarah scrubbing effect Milta Hai doston yah washing machine अलग-अलग type ke kapdon ko अलग-अलग six motion ke through wash karta hai.
 
doston yah machine LG ke ThinQ Application jo ki play store mein hai download karke Ghar Ke Wi-Fi se connect Karke aapke mobile ke through control kar sakte hain jismein aap machine ko start stop, program setting, error indication, new cycle download karna, Sabhi features ko use kar sakte hain yani ki yah machine smart machine hai is machine mein kam gande kapde ya Fir kam quantity Mein kapde ho to quick wash option Diya Hua Hai jo ki Jyada time nahin lete hue 30 minut mein aapke kapde ko wash Karke deta hai. 
koi bhi stain wale kapde ya Jyada Maile kapde ko dhone ke liye team ka function select kar sakte hain 


Is machine ke andar Jo detergent tray Diya Hua Hai vah front load washing machine Ki Tarah hai jismein aap dry detergent liquid matic detergent ya Fir softener teeno dalne ke liye tray Diya Hua Hai.


doston next point hai
yah machine 5 star rating Ke Sath Hai iska model number hai
TX511SWO
 iska color completely black hai buttons aur panel Pichhe ki taraf Diya hua hain. 
two years technical parts ki warranty hai 10 ears motor ki warranty hai 
iska Jo Dor Hai vah soft closing Dor hai build quality kafi strong hai . 
to yadi aap Aisa machine kharidna Chahte Hain Jo cleaning better De, dimension wise compact Ho, electricity consumption less Ho, repair cost kam Ho, vibration sound level kam Ho, inner tub Bada Ho, long life Ho, easy to use Ho, big family ke liye use kar sakte ho, To Ye machine aap Le sakte hain thank you🙏

Comments

Popular posts from this blog

Washing Machine मे AI क्या करता है ?

Washing machine ke Type Jankar hi purchase karen

100% CLOTHES DRYER MACHINE