100% CLOTHES DRYER MACHINE

 

100% clothes dryer


Doston aaj ham sabhi ke pass time ka abhaav hota hai aise me ham Koi bhi kam ko jaldi se niptana chahte hain jisse hamara kaam bhi ho jaye aur mehnat aur time bhi bach jay

Doston aaj hum baat karenge clothes dryer ke baare me

Jaisa ki hum sabhi jaante hain ki koi bhi washing machine me kapde wash hone ke baad hame clothes dry karne ke liye usey baahar rassi ya kisi stand ke upar dalna parta hai

Saath me thodi thodi der baad use failana aur ulta pulta karke dekhna padta hai

Jismein hamara time aur mehnat dono lagta hai

Sath hi aajkal ke new societies me ghar ke bahar yaa fir window ke baahar bhi kapde daalna allowed nahin hota hai

Aise me ye clothes dryer aapke liye kafi helpful hota hai 

Kyunki ye dryer condenser dryer hai jo ki kapadon ke andar jo bhi water ya moisture hota hai usko condenser machine jo ki isme inbuilt hota hai uske sahare ek tray hota hai usme store kar deta hai jisse aap ka kapde puri tarah se sukh jatey hai

Doston iss dryer ki aur sari Khubiya hai jaise ki iss dryer mein yadi aap kapde dalte hai to ismein aap kaun sa kapada daalte hai wo program select jaise karte hain machine khud dikhata hai ki aapko kapadon ki fabric ki quality ke hisab se aapko display me show karta hai ki laundry ka weight kitna daalna hai. 


Sath hi yadi aap kapde dalne ke baad ye decide nahi kar paate hai ki time kitna set karun to tension lene ki koi baat nahi hai

  Kyuki ye machine sensor base auto dryer hai aapko time set karne ki koi jarurat nhi hai aapko only start ka button press kar dena hai machine tab tak chalega jab tak aapke clothes ko pura dry nahi kar deta hai


Doston image mein dikhaya gaya dryer bosch company ka 9 kg capacity ka condenser dryer hai aap ye jarur kharidiye yadi aapko time aur mehnat bachani hai

Isko use karne ke liye aapko clothes ke hisab se weight daalkar aur desire drying percentage option select karna hai aur start ka button press kar dena hai

Doston iss machine ka dimension niche diya gaya hai taki aap jaha place karenge waha kitna space chahiye uski jaankari mil jayegi

Dimension of this dryer

W-24  INCHES

D- 25  INCHES

H- 34  INCHES

Doston yadi ye dryer aapko washing machine ke upar stack karna hai to aap

Wo bhi kar sakte hain lekin washing machine front load hona chahiye sath hi same brand ka hona chahiye

 doston ye sari jankari maine mere sales experience ke hisab se aap ko dene ka prayas kiya hai ummid karta hu jaankari achhi lagi hogi 

Thank you🙏


Comments

Popular posts from this blog

Washing Machine मे AI क्या करता है ?

Washing machine ke Type Jankar hi purchase karen