BEST MICROWAVE FOR HEATING FOOD FOR OFFICE STAFF

Yahan per aapko Office Use ke liye microwave ke types, Uses, Uske features, capacity, Dimension aur model number ki puri Jankari milegi. 





Doston hum sabhi kisi na Kisi kam se  Job karne ya Fir khud ka business purpose se Daily ya Fir Weekly ya Fir Apni Jarurat ke hisab se Ghar se Bahar jate hain, 
Jismein Hum me se Jyada se Jyada log Morning mein Ghar se nikalte Hain, 

Aksar Hota ye hai ki Office Time se pahunchne ki wajah se Hum kabhi kabhi bina kuchh break fast kiye hi Jaldi Se Ghar se Nikal Jate hai, 

  Aise me hota ye hai ki ghar bale Hamaare Liye break fast And lunch pack kar dete hain jo hum Office pahunch kar break fast ya lunch Time milne  ke bat kiya karte hain. 

Jisse hota ye hai ki hamara food Fresh ya Heat nahi rah pata hai Jabki Hum sabhi chahte hai ki hamara food Fresh ke sath sath garma garam ho jisse hum food ko Ji bharkar khayen. 

Kyuki aap kisi bhi food ko yadi banne ke turant baad grahan karte hain to uska test bhi  achha hota hai aur thanda hone ke baad ya jyada der ka bana hua khana kharab bhi ho sakta hai aur uske test bhi kharab ho jate hain. 

Aise me Aajkal hamare Ghar ya Office mein Microwave ek best kitchen Appliances hai 
Khaas kar ke Office mein hum inki sahayta se kabhi bhi garma garam break fast ya home food ka maja le sakte hain. 

ya fir out side se order karke mangane ke baad yadi food thanda ho jaye to usey bhi reheat kar sakte hain. 

Ab sabal ye hai ki heating ya cooking ke bahot sare appliances market mein available hai , 
Jaise ki cooktop yani gas stove, induction, Electric rice cooker, etc... 

lekin Khas karke Office mein fir microwave hi Kyu ? . 
   Iske liye yaha par complete bataaya gaya hai, 

Why MICROWAVE IS BEST FOR OFFICE 👇

Chaliye jante hai Kyu microwave Office use ke liye best hai:-
Doston microwave ke benefit ke sath sath yaha aapko ye bhi bataya gaya hai ki kaun se microwave aapko leni chahiye, 

Sath hi microwave use karne ke tarike precautions and features dimension aapke space ke hisab se kaun sa suitable hoga aage inki jaankari bhi mil jaayegi. 

Aaiye pehle ye jante hain ki microwave Office ke liye Kyon jaruri hai. 

1. Fast Heating. 

Doston microwave Kisi bhi cooking appliances ke compare Mein sabse fast heating aur cooking karta hai jisse ki aapka time saving hota hai , aapko office mein bahut Sare staff hote hain bahut Sare log बारी-बारी Se Apna lunch ya breakfast garam karne ke liye rakhte Hain, Jiski vajah se aapko Jyada time West Nahin hota hai yani ki aapka food jaldi se jaldi garm ho jata hai. 

2. Enjoy Healthy Home Food 

 Microwave hone ki vajah se log outside se food mangaane se avoid karte hain Kyunki outside Food hygienic ya healthy Nahin hota hai to Jyada Se Jyada log Ghar Se Khud laate Hain, Kyunki unhen Maloom hota hai microwave Hai Ham vahan per garm Karke aur Apna food garam garam kha sakte hain. 

3. Cost Savings Because of Home Made Food. 


Aap yadi Ghar Se Khud laate Hain To hygienic ke साथ-साथ aapka cost saving bhi hota hai Kyunki agar aap Bahar Se Vahi Phood mangate Hain to ghar ke Food ke cost se Kahin Jyada Hota Hai bahar se mangana. 


4. No Smoke Or Flame. 


Other cooking appliances ke compare Mein microwave mein smoke Nahin Aata Hai Jiski vajah se aapka microwave office area mein kisi bhi type ka disturbance create nahin karta hai jaise ki food ka smel bhi microwave mein Other cooking appliances ke compare mein bahut hi kam Bahar Aata Hai. 

5.Heating with Basic cooking. 



Microwave mein heating ke साथ-साथ basic cooking bhi aap kar sakte hain jaise aajkal log noodles pasta aur bahut Sare Aise basic cooking hai jo office mein karna chahte hain vah bhi aap ismein kar sakte hain without claim aur without smoke ke. 

6. Mentain Nutrition



Microwave cooking ka jo process Hai vah electromagnetic wave ke Through hota Hai jismein flame aur smoke Nahin hone ki vajah se aapke food mein jo nutrition Hai vah bhi maintain hota hai yani ki food ka jo nutrition Hai vah Burn Nahin hota hai Jiske vajah se food healthy hota hai to microwave mein food garm karna ya cook karna Kafi Achcha Hota Hai. 

Type of Microwave. 


Ab jaante hai ki microwave kitne type ke hote hain aur Hamen kaun sa Lena chahiye. 

1. Convection microwave
2. Microwave with Grill
3. Solo microwave oven

Ab hum yadi Office ya Home use ke liye Lenge jismein Ham sirf khana Garam karte hain ya Kuchh basic food Jaise noodles vagaira banate hain to iske liye Hamen sirf Solo microwave hi Lena chahiye, 

Kyunki Convection aur grill wale microwave mein bake aur grill ka Option hota hai jo Ham office vagaira mein jyada use Nahin karte hain, 
agar aap ghar ke liye lete hain jismein backing drilling heating boiling cooking Sabhi chahie to aap Convection Le sakte hain. 

Office ke liye Hamen sirf Solo Microwave Lena chahiye. 

Yadi aapko Solo microwave Office ke liye lena hai to Yahan per top 4 Solo Microwave ka option Diya Hua Hai, 
jismein 3 model hai vah 20 litre capacity ka hai, 
aur ek jo hai 24 litre capacity ka hai 
to yadi aapke office mein jyada staff Hai Jyada space bhi hai rakhne ke liye to aapko 24 litre wala ye IFB BRAND ka microwave Le sakte hain Jiska model number mein niche de diya hun 👇👇

IFB 24 LTR CAPACITY SOLO MICROWAVE
24PM2S


Dimension:- w- 21,D:- 15, H:- 11
  In Inches

aur Agar aapko small place per rakhne wala small size ka microwave chahie to yah 3 option Mein niche Diya Hun Uska model number diya hun dimension Diya hun Uske hisab se aap purchase kar sakte hain 👇

Panasonic 20 Ltr capacity
 Solo Microwave
MODEL :- NNST266BFDG
Dimension:- W-18, D-14, H- 10
IN INCHES👇



IFB 20 Ltr capacity
 Solo Microwave
MODEL :- 20PM-MEC2B
Dimension:- W-18, D-14, H- 10
IN INCHES👇




LG 20 Ltr capacity
 Solo Microwave
MODEL :- MS2043DB
Dimension:- W-18, D-14, H- 10
IN INCHES👇



Doston ye jankaari mein mere sales experience ke hisab se aapke liye sajha kiya hu ummid karta hu jaankari achhi lagi hogi. 
Thank you🙏

Doston sabhi model ka video niche di gayi hai👇👇







Comments

Popular posts from this blog

Washing Machine मे AI क्या करता है ?

Washing machine ke Type Jankar hi purchase karen

100% CLOTHES DRYER MACHINE